Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain (ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं) Lyrics- Aap Ki Kasam | Kishor Kumar | Rajesh Khanna | R. D. Burman

By HighClap

Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain (ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं), a popular Hindi sad song from the movie, Aap Ki Kasam. This song is sung by Kishor Kumar. It is composed by R. D. Burman and written by Anand Bakshi. It is picturised on Rajesh Khanna & Mumtaz.

Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain (ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं) Lyrics- Aap Ki Kasam | Kishor Kumar

‘Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain’ Lyrics In English

Zindagi ke safar mein
Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate [x2]

Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh baharon ke aane se khilte nahi

Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaron ke aane se milte nahi
Umra bhar chaahe koyi
Pukara kare unaka naam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Ankh dhokha hai, kya bharosa hai
Ankh dhokha hai, kya bharosa hai suno

Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil mein ise ghar banane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do

Baad mein pyar ke
Chaahe bhejo hazaron salam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yoon hi
Waqt chalta hi rehta hai rukta nahi
Ek pal mein yeh aage nikal jaata hai
Aadmi theek se dekh paata nahi
Aur parde pe manzar badal jaata hai

Ek baar chale jaate hain
Jo din-raat, subah-shaam
Woh woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate
Zindagi ke safar mein
Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

‘Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain’ Lyrics In Hindi

ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं जो मकाम
वो फिर नहीं आते, वो फिर नहीं आते
ज़िन्दगी के सफ़र में... [x2]

फूल खिलते हैं, लोग मिलते हैं
फूल खिलते हैं, लोग मिलते हैं मगर
पतझड़ में जो फूल मुरझा जाते हैं
वो बहारों के आने से खिलते नहीं
कुछ लोग एक रोज़ जो बिछड़ जाते हैं
वो हजारों के आने से मिलते नहीं
उम्र भर चाहे कोई पुकारा करे उनका नाम
वो फिर नहीं आते...

आँख धोखा है, क्या भरोसा है
आँख धोखा है, क्या भरोसा है सुनो
दोस्तों शक दोस्ती का दुश्मन है
अपने दिल में इसे घर बनाने न दो
कल तड़पना पड़े याद में जिनकी
रोक लो रूठ कर उनको जाने न दो
बाद में प्यार के चाहे भेजो हजारों सलाम
वो फिर नहीं आते...

सुबहो आती है, रात जाती है
सुबहो आती है, रात जाती है यूँ ही
वक़्त चलता ही रहता है रुकता नहीं
एक पल में ये आगे निकल जाता है
आदमी ठीक से देख पाता नहीं
और परदे पे मंज़र बदल जाता है
एक बार चले जाते हैं जो दिन-रात, सुबहो-शाम
वो फिर नहीं आते...

About Song ‘Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain’

Movie Aap Ki Kasam
Released Year 1974
Artist Rajesh Khanna, Mumtaz
Singer Kishor Kumar
Composer R. D. Burman
Lyricist Anand Bakshi
Genre(s) Sad

Official Video of ‘Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain’

Popular Kishor Kumar Songs

People Also View